Suna hy Log Usy Aankh bher k Diakhty hain !!!

January 19, 2007

Suna hy log usy aankh ber k diakhty hain
so us k shaher main kuchh din theher k daikhty hain

Suna hy bolay to baton sy phool jhertay hain
ye baat hy to chalo baat ker k daikhty hain

Suna hy din ko usay titliyan setati hain
Suna hy raat ko jugnoo theher k daikhty hain

Suna hy raat usko chaand takta rehta hy
Sitaary baam-e-falak sy uter k daikhty hain

Suna hy rabt hy us ko kherab haalon sy
tu apnay aap ko berbaad ker k daikhty hain

Suna hy us k badan ki terash aisi hy
k phool apni qebaaein ketar k daikhty hain

Suna hy us k shabistaan se muttasil hy bahisht
makeen udher k b jalvy idher k diakhty hain

Kissay naseeb k be-parahan ussay dekhay
Kabhi kabhi dar-o-deewar ghar k dekhtay hain

Suna hai us ko b hai sher-o-shairy se shaghaf
So ham b ma’ujzay apnay hunar k dekhtay hain