Kahan jaogay kahan aao gay mein ye pooch pooch ke thuk gaya

February 19, 2007

Kahan jaogay kahan aao gay mein ye pooch pooch ke thuk gaya
Wo jawaab mujh ko na de saka wo tow khud sarapa sawaal tha

Meri baat kaise wo maanta mera derd kaise wo jaanta
Wo tow khud fana ke safer mey tha usay rokna bhi mahaal tha

Wo jo us ke saamnay aagaya wohi roshni mey naha gaya
Ajab us ki hebat-e-ishq thi ajab us ka rung-e-jamaal tha

Dum-e-wapsi arey kya hua na wo roshni na wo taazgi
Wo sitara kaise bikhar gaya wo jo aap apni misaal tha

Wo mila tow sadiyon ke baad bhi mere lub pe koi gila na tha
Usay meri chup ne rula diya jisay guftugu mey kamal tha

Mere saath lug ke wo roo diya mujhe sirf itna hee keh saka
Jise janta tha mein zindagi wo tow mera wehm-o-khayaal tha


Koi aahat koi saaya bhi nahin hai

February 19, 2007

Koi aahat koi saaya bhi nahin hai
Muddath se merey ghar koi aaya bhi nahin hai

Koi aahat koi saaya bhi nahin hai

Ghar se nikalthey hue dil ab dartha hai
Thokar ke siwa raahon mein kuch khaaya bhi nahin hai

Log dethey hain meri aankh ki misaal ghatawon ko
Paani ke siwa aankh ne kuch bahaaya bhi nahin hai

Main muskurawon bhi tho boo aathi hai zakhmon ki
Zindagi mein siwa zakhmon ke kuch paaya bhi nahin hai

Qaasid ko dekh kar banaathey hain jagah dil mein
Zakhmon ke siwa yeh kuch aur laaya bhi nahin hai

Merey dil ke ujalon se hai roshan yeh jahaan
Terey pyaar ne dil ke siwa kuch aur jalaaya bhi nahin hai

Khuawbon mein bhi kaisey ho ab deedar tera
Zamaney se teri yaadon ne sulaaya bhi nahin hai

Koi aahat koi saaya bhi nahin hai
Muddath se merey gher main koi aaya b nahi hy